Kalam bhar syahi
Pannon par
Likhakar tumhaari hamaari kahaani
Banaakar
Kaagajon kaa khubsurat pulindaa
chheent diyaa kisi ne uspar
Kalam bhar syaahi
aur
mita diyaa uspar ukere
mote pyaare akshar
chhupakar ek ankahi pyari si kahaani
Tumhaari aur hamaari
Dho diye sapano ke saare nishaan
vaise hi jaise akasar
khuni chhiton se dhulata khuni daaaman
andheron se chupata andhera
kafan se chhupti maut
chup gayi vaise hi
syahi ki kahani Tumahari aur humaari
'kalam bhar syahi' se
ki
main ab pud nahi pata unmen chhapi panktiyaan
ki
main ab dhundh nahin paataa usmen tumhara naam
ki
kahin ek jhalak nahi dikh pata usmen tumhara chehra
Phir bhi sajo kar rakha hai maine
is daaag ko
sahej kar salike se
bade tarike se rakhaa hai maine
Tumhari humari yeh kitaab
ki
shayad kabhi huvayen vaqt ki
asar kar jayen
aur
mita jaye anchaahi bekaar
syahi ki parat
us 'kalam bhar syahi' ki
aur ubhar aaaye tumhara naam
us tumhari humari kahani ki kitaab main
jis par likh kar
chhint di kisi ne
kalam bhar syahi
Wednesday, February 01, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Good poems. I enjoyed reading them. May be you can get some criticisms later.
Thanks ...I would love to have your comments.
Post a Comment