Monday, March 06, 2006

Rasagandharva
(cud not think of a better name)

Mere hridaya ke sangeet prakost main
palako ke aalokit aangan main
tum amit shashi roop ho
pranaya pallavit prangan main.

Suvasit sudharma sukomal bhavna
sahaj saswati snehanil saumya
prem nidhi ki abhilekhit
aditi tum mere man main
tum amit shashi roop ho
pranaya pallavit prangan main.

Chandan surbhit, parijaat kaya
abhinav saundarya, mani roop aabha
jalad tere aankhon main anjan
tum antah ur aalingan main
tum amit shashi roop ho
pranaya pallavit prangan main.



No comments: