Meri Kavita
(18 April 1998)
Meri Jhankaar, meri hunkaar, mere kan kan men mauzood
Kavita-mere ateet ki, mere vartamaan ki
Mere sunahare bhavishya ki Kavita
Meri vedana, meri tatasthataa aur manosthiti ki Kavita
Mere Kaaran, mere prabhaav aur mere vichaar ki kavita
Meri sarvabhaumikataa aur meri upasthiti ki Kavita
Thak chuka hun, abhishapt bhi hun, akela hun jeevan path par
yaden bhi hain par bichhud rahi, anzaana hun samay rath per
main hun aur hai mere mansik avasaadon ki kavita
mere shikavon ki ranjison ki, mere shikayaton ki kavita
Akela hun aur sath hai meri tanhaiyon ka vishal samandar
aur hai vartamaan bhi isaka ekmatra sabut banakar
mera sunepan aur kavita mere bhavatamak khamiyon ki
kisi sathi ki abhilasha aur sangini ki kavita
Hai ek biyavaan jungle, sunsaan stabdh arunima chhipi hui
vicharon ka sailab manash patal par armanon ko jalane vali
kavita mere abhisht ki, kavita mere vicharon ki
mere armanon ki kavita aur aur meri kalapanaon ki kavita
kinkartabyavimudhata hai path chunane main, pair na aage na poeeche jane ko taiyaar
saya bhi bevafa hai akela hun shant aur nirvichaar
kavita mere kalapanateet umangon ki, meri ashaon ki
mere surate haal ki, meri zindagi ki kavita|

No comments:
Post a Comment